Riyaz Khairabadi

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
aish-o-ishrat sab sahī ye dam nahīñ to kuchh nahīñ
ek duniyā ho to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ
surmagīñ āñkhoñ meñ ashk-e-ġham nahīñ to kuchh nahīñ
dast-e-rañgīñ se mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ
sub.h ko shab ke satāne kā gila-shikva abas
jab pareshāñ gesū-e-barham nahīñ to kuchh nahīñ
ishq se thoḌā bahut to hai har insāñ ko lagāo
dil meñ kuchh kuchh dard kuchh kuchh ġham nahīñ to kuchh nahīñ
is kamar par is nazākat par ye sīdhī chaal kyuuñ
bal nahīñ to kuchh nahīñ kuchh ḳham nahīñ to kuchh nahīñ
us kī shoḳhī ne use ai dil chhupā rakkhā kahāñ
hashr meñ vo fitna-e-ālam nahīñ to kuchh nahīñ
milne vāloñ kā baham mil baiThnā bhī lutf hai
jamghaTe shab ko sar-e-zamzam nahīñ to kuchh nahīñ
us kī raunaq aur hai us kā asar kuchh aur hai
un kī mahfil meñ mirā mātam nahīñ to kuchh nahīñ
pyāre pyāre achchhe achchhe muñh se haañ kah de kabhī
tere sadqe ye tirī har-dam nahīñ to kuchh nahīñ
baal khole tum ne to kyā chūḌiyāñ toḌīñ to kyā
mere marne kā jo dil se ġham nahīñ to kuchh nahīñ
baat jis kī thī ga.ī saaqī vo us ke dam ke saath
jām-e-jam ho bhī to kyā jab ham nahīñ to kuchh nahīñ
phuuT kar ronā nahīñ to phuuT hī jaa.eñ 'riyāz'
kaam ke jab dīda-e-pur-nam nahīñ to kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com