Riyaz Khairabadi

rahe hum aashiyan mein bhi to barq-e-ashiyan ho kar

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
rahe ham āshiyāñ meñ bhī to barq-e-āshiyāñ ho kar
lagā dī aag apne ghar meñ sargarm-e-fuġhāñ ho kar
na apne ġham-zadoñ ko ḳhush karo ab mehrbāñ ho kar
buto tum ḳhush raho ham kyā kareñge shādmāñ ho kar
khile ġhunche na bū phūTī na shāḳh-e-gul phalī-phūlī
qafas meñ jab se ham aa.e bahār aa.ī ḳhizāñ ho kar
chale ho gul-badāmāñ kuchh to kahte jaao un se bhī
ki tum se kah rahe haiñ kuchh anādil ham-zabāñ ho kar
javāñ hone na paa.e the ki dil aayā hasīnoñ par
ajal ye kahtī aa.ī kyā karoge tum javāñ ho kar
hue past aise un kī ḳhaak bhī uḌte nahīñ dekhī
rahe rahne ko kitne is zamīñ par āsmāñ ho kar
jo khul kar vaar muusā par to ham par choT parde meñ
vahī jalva ayaañ ho kar vahī jalva nihāñ ho kar
qayāmat un kī chheḌeñ haiñ mire betāb karne ko
jo nāvak aa.e chuTkī se to un kī chuTkiyāñ ho kar
milāyā ḳhaak ho kar hasratoñ ko apnī miTTī meñ
chhupāyā kārvāñ ko ham ne gard-e-kārvāñ ho kar
kabhī taqrīr-e-sāqī meñ jo laġhzish us ne paa.ī hai
to mauj-e-mai ne ham se guftugū kī hai zabāñ ho kar
ye rañgīñ nāra-e-mastāna kis ke haiñ are zāhid
sadā nāqūs kī de dī kahīñ gūñjī azaañ ho kar
tire kūche meñ piisā hai usī ne ham ġharīboñ ko
girā hai sāya-e-dīvār ham par āsmāñ ho kar
kisī mahram sambhālegī na dohrā.e hue āñchal
raheñge vo na qaabū meñ kisī ke bhī javāñ ho kar
dakan meñ kyā vazīr-e-fauj ne mehmāñ navāzī kī
janāb-e-'shād' ke dar se phire ham shādmāñ ho kar
'riyāz' is vaz.a se pahuñche ki bole mai-kade vaale
buzurg-e-ḳhizr-sūrat aa.e jannat meñ javāñ ho kar
Top Urdushayar.com