Riyaz Khairabadi

agar un ke lab par gila hai kisi ka

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
agar un ke lab par gilā hai kisī kā
to bejā bhī shikva bajā hai kisī kā
hasīñ hashr meñ sar jhukā.e hue haiñ
vafā aaj va.ada huā hai kisī kā
vo joban bahut sar uThā.e hue haiñ
bahut tañg band-e-qabā hai kisī kā
vo ḳhud chāhte haiñ koī ab satā.e
satānā mazā de gayā hai kisī kā
jo haiñ dast-e-gustāḳh apne salāmat
to jhūTā hī va.ada vafā hai kisī kā
vo kyuuñ uTh ke ḳhalvat se mahfil meñ aa.eñ
vo kyā jāneñ kyā mudda.ā hai kisī kā
banā luuñ ḳhudā to bhī mere na hoñge
butoñ meñ koī bhī huā hai kisī kā
koī god meñ jham se aa hī gayā hai
tasavvur hameñ jab bañdhā hai kisī kā
'riyāz' aur hī rañg meñ mast haiñ ab
sunā hai pyālā piyā hai kisī kā
Top Urdushayar.com