Riyaz Khairabadi

jaan niklegi meri jaan baDi mushkil se

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jaan niklegī mirī jaan baḌī mushkil se
hogī mushkil mirī āsān baḌī mushkil se
vo mire ghar rahe mehmān baḌī mushkil se
raat nikle mire armān baḌī mushkil se
āñkheñ talvoñ se malīñ le ke qadam āñkhoñ par
raah par aa.e nigahbān baḌī mushkil se
thā bahut un ko gilaurī kā uThānā mushkil
dast-e-nāzuk se diyā paan baḌī mushkil se
baḌh ke darbāñ ne liyā aaj bhī dāman merā
kal chhuḌāyā thā garebān baḌī mushkil se
sohbat-e-bad se bachāne kā batāyā sab haal
aaj maane mire ehsān baḌī mushkil se
zulm ko lutf se ta.abīr kareñge dam-e-hashr
jaur se hoñge pashemān baḌī mushkil se
koī kāfir ho jo kal jaa.e sū-e-dair-e-butāñ
ki bachā aaj hī īmān baḌī mushkil se
na rahe maiñ ne kaleje meñ jo rakhnā chāhā
dil meñ Thahre tire paikān baḌī mushkil se
duur abhī manzil-e-maqsūd hai kaale kosoñ
kuchh hue qat.a bayābān baḌī mushkil se
maan lete haiñ vo mushkil se bhī mushkil koī baat
kabhī āsāñ se bhī āsān baḌī mushkil se
mai bahut ruk ke mire halq se utre dam-e-naz.a
abhī mushkil huī āsān baḌī mushkil se
be-shab-e-vasl ye andāz nikalte hī nahīñ
zulf hotī hai pareshān baḌī mushkil se
dhaar talvār kī thī jāda-e-bārīk na thā
hai huā hashr kā maidān baḌī mushkil se
rahte haiñ aise hī insān farishte ban kar
aadmī bante haiñ insān baḌī mushkil se
dil-e-bismil meñ kuchh is tarah hue the paivast
TuuT kar nikle haiñ paikān baḌī mushkil se
yahī andāz yahī vaz.a jo rakkhoge 'riyāz'
log samjheñge musalmān baḌī mushkil se
Top Urdushayar.com