Riyaz Khairabadi

kya hui meri jawani josh par aai hui

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
kyā huī merī javānī josh par aa.ī huī
haa.e vo nāzuk gulābī merī chhalkā.ī huī
jalva-gah meñ aaj ye kis kī tamāshā.ī huī
tuur se ham le ke aa.e aañkh pathrā.ī huī
hashr meñ fitnoñ se achchhī bazm-ārā.ī huī
aa ke duniyā ḳhud tamāshā ḳhud-tamāshā.ī huī
ye bhī shāmat thī mire a.amāl kī laa.ī huī
sab se pahle hashr ke din merī rusvā.ī huī
maiñ chalā dozaḳh ko lekin us kī rahmat dekh le
aañkh merī sū-e-kausar aaj lalchā.ī huī
us kī Thokar ke nishāñ sab ban ga.e dāġh-e-sujūd
ye jabīñ hai kis but-e-kāfir kī Thukrā.ī huī
hashr meñ qātil ne dekhī hai lahū kī koī chhīñT
sū-e-dāman kyuuñ jhukī hai aañkh sharmā.ī huī
tāzgī sī aa ga.ī un kā tabassum dekh kar
khil uThīñ kaliyāñ mire madfan kī murjhā.ī huī
rah ga.ī yād-e-javānī vo javānī ab kahāñ
dāġh-e-dāman hai miTe sar-josh chhalkā.ī huī
dekhte vo bhī to aa jaate zarūr āñkhoñ meñ ashk
dil se ruḳhsat is tarah dil kī shakebā.ī huī
ai qayāmat aa bhī terā ho rahā hai intizār
un ke dar par laash ik rakhī hai kafnā.ī huī
nīm-uryāñ kuchh numā.ish husn kī thī vasl meñ
chheḌne ko raat hiila un kī añgḌā.ī huī
ḳhaak phāñkī masjidoñ meñ jā rahe jab ham kabhī
mai-kadoñ meñ aa rahe to bāda-paimā.ī huī
har lahad se saaf miltā hai qayāmat kā javāb
ḳhaak dar-dar chhāntī hai un kī Thukrā.ī huī
manziloñ pīchhe haiñ rāh-e-ishq meñ farhād-o-qais
ye hañseñ us ko ab aisī merī rusvā.ī huī
rāt-din añgḌā.iyāñ vo leñ mirī āġhosh meñ
jin hasīnoñ ke liye paidā ye añgḌā.ī huī
vo bhī ghabrā.e hue thī baat bhī thī sharm kī
rah ga.ī hoñThoñ meñ dab kar hoñTh tak aa.ī huī
naam hai mai-e-bū nahīñ talḳhī nahīñ tezī nahīñ
muddatoñ zāhid ne pī hai merī khiñchvā.ī huī
hai numāyāñ aaj sab mīnā-parastoñ meñ 'riyāz'
jām-e-jam se baḌh ke qadr-e-jām-e-mīnā.ī huī
Top Urdushayar.com