Riyaz Khairabadi

dam-e-aKHir kisi ka shikwa-e-bedad karte hain

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
dam-e-āḳhir kisī kā shikva-e-bedād karte haiñ
nahīñ haiñ hichkiyāñ rah rah ke ham fariyād karte haiñ
rihā ho kar ham itnī ḳhātir-e-sayyād karte haiñ
nasheman raat ko din ko qafas ābād karte haiñ
fuġhāñ sun kar mirī vo naaz se irshād karte haiñ
kahāñ tū mar rahī ai maut tujh ko yaad karte haiñ
buḌhāpe meñ tujhe ham ai javānī yaad karte haiñ
ab apnī umr āḳhir is tarah barbād karte haiñ
ajab andāz se kahtī haiñ dil kī hasrateñ mujh se
hameñ ghar se nikāleñ ghar vo kyuuñ barbād karte haiñ
na āñkhoñ meñ kabhī aañsū na hoñThoñ par kabhī naale
na ham qismat ko rote haiñ na ham fariyād karte haiñ
gale meñ kyuuñ rag-e-jāñ ban ke ḳhanjar rah gayā terā
kahīñ bismil se aisī shoḳhiyāñ jallād karte haiñ
ye kyuuñ hai dushmanoñ ko dostoñ ko justujū us kī
vo mujh par rahm farmāte haiñ yā bedād karte haiñ
girānā hai hameñ kuchh bijliyāñ sayyād ke ghar par
asar-ḳhez ik na.ī tarz-e-fuġhāñ ījād karte haiñ
dil-e-muztar kī tasvīreñ bharī haiñ kyā muraqqe meñ
kuchh ustādī bhī is meñ mānī-o-bahzād karte haiñ
hamāre saath hai sayyād bhī yārab musībat meñ
kalejā muñh ko aatā hai jo ham fariyād karte haiñ
likhā kis husn se ḳhat meñ ki ham tujh se kashīda haiñ
kashish harfoñ kī aisī hai ki ham bhī saad karte haiñ
uThūñgā yūñhī mahshar meñ liye maiñ un ke ḳhanjar ko
gale mere lagāte haiñ ye kyā jallād karte haiñ
kahāñ vo haiñ kahāñ ham haiñ paḌā hai tafraqa yārab
vo ham ko yaad karte haiñ ham un ko yaad karte haiñ
mirī sūrat jo dekhī ham-nashīñ se hañs ke farmāyā
yahī kohsār par ab mātam-e-farhād karte haiñ
kabhī thoḌī sī pī lī lab nahīñ us kī bhī kuchh parvā
alag goshe meñ baiThe haiñ ḳhudā ko yaad karte haiñ
mujhe dekhā to bole mere kūche se nikal jaa.eñ
ye dil meñ chuTkiyāñ lete haiñ yā fariyād karte haiñ
buzurgī hai ki marte haiñ butān-e-shoḳh par ab bhī
'riyāz' is umr meñ kyuuñ āqibat barbād karte haiñ
Top Urdushayar.com