'riyāz' ik chulbulā sā dil ho ham hoñ
hasīnoñ kī bharī mahfil ho ham hoñ
kahā lailā se kis ne dil ho to ho
kabhī to ho tirā mahmil ho ham hoñ
mazā de jaa.e ham ko ḳhvāb-e-ġhaflat
mazā aa aa.e tum ġhāfil ho ham hoñ
zarā ham bhī suneñ tum ne kahā kyā
adū se jab sar-e-mahfil ho ham hoñ
liye halqe meñ hoñ sab ahl-e-mahshar
kamar meñ haath ho qātil ho ham huuñ
bane til aañkh kā ghaT kar shab-e-vasl
hamārī aañkh meñ ye til ho ham hoñ
tirī ulTī chhurī dil meñ utar jaa.e
adū jab is tarah bismil ho ham hoñ
ye thak kar baiThnā ho vaj.h-e-ārām
mazā hai saḳhtī-e-manzil ho ham hoñ
na ḳhalvat chāhiye ham ko na ma.ashūq
'riyāz' ik ārzū-e-dil ho ham hoñ