ḳhudā kare rahe jaarī payām-e-yār nisār
ki tere ba.ad ye hai terī yādgār nisār
kisī kī bhī nahīñ sunte haiñ aaj yaar nisār
hazār koī pukārā kare nisār nisār
chhalakte jaam haiñ hūreñ haiñ bāġh-e-jannat hai
uḌā rahe haiñ maze kyā tah-e-mazār nisār
dam-e-aḳhīr kuchh is tarah pher liiñ āñkheñ
na the zamāne meñ goyā kisī ke yaar nisār
ravā-ravī meñ utāre na aks bhī utrā
havā ke ghoḌe par aa.e the kyā savār nisār
ye us kī shān-e-karīmī nisār ko baḳhshā
hazār baar fidā haiñ hazār baar nisār
bichhaḌne vaalo kabhī tum na chhoḌnā dāman
chale haiñ lūTne firdaus kī bahār nisār
abhī ye phuuT ke ro.e na luuñ jo zabt se kaam
bharī hai mujh se bahut chashm-e-ashk-e-bār nisār
'riyāz' fātiha paḌhne na tum ga.e ab tak
tumhāre vāste haiñ mahv-e-intizār nisār