Riyaz Khairabadi

le uDe gesu pareshani meri

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
le uḌe gesū pareshānī mirī
aa.ine le bhāge hairānī mirī
kah uThā joban ki bas bas ho chukī
nīchī nazroñ se nigahbānī mirī
baam par kah aa.e jā kar āh-e-garm
baḌh ke bijlī se hai jaulānī mirī
gesuoñ se un ke achchhī ġham kī raat
maiñ fidā us par vo dīvānī mirī
pyāre pyāre muñh se phir kah de zarā
ho mubārak tujh ko mehmānī mirī
saath mere dil bhī miTTī ho chukā
tere sadqe ḳhaak kyuuñ chhānī mirī
itnī muddat meñ bichhaḌ kar dil milā
der tak sūrat na pahchānī mirī
thak ga.e vo ruk gayā ḳhanjar 'riyāz'
ab baḌī mushkil hai āsānī mirī
Top Urdushayar.com