khaTakte haiñ nigāh-e-bāġhbāñ meñ
jo haiñ do-chār tinke āshiyāñ meñ
har ik saḳhtī meñ aalam naza.a kā thā
hamārī umr guzrī imtihāñ meñ
chhuḌā le sajda karne meñ na koī
lage haiñ laal sañg-e-āstāñ meñ
sharāre haiñ mire nāloñ ke qaa.em
ki taare jaḌ diye haiñ āsmāñ meñ
qarīb ab fasl-e-gul shāyad hai sayyād
mazā aane lagā merī fuġhāñ meñ
taras aatā nahīñ mujh par kisī ko
maiñ fariyād-e-jaras huuñ kārvāñ meñ
asar mai kā hai yā tauba kā nāseh
ki talḳhī sī hai kuchh ab tak zabāñ meñ
taḌapne vāloñ meñ bhī tafarqe hai
qafas meñ ham haiñ bijlī āshiyāñ meñ
kisī se chhūT kar aalam hai kuchh aur
paḌā hai tafarqe sā jism-o-jāñ meñ
'riyāz' ustād ne rutba ye baḳhshā
hamārī dhuum hai hindostāñ meñ