matlab kī baat shakl se pahchān jā.iye
maiñ kyuuñ kahūñ zabān se ḳhud jaan jā.iye
aa.e vo naza.a meñ bhī na hasrat nikālne
ab zer-e-ḳhāk le ke sab armān jā.iye
us bholī bholī shakl ke ho jā.iye nisār
un bholī bholī bātoñ ke qurbān jā.iye
bāñheñ gale meñ Dāliye bhī ab hañsī-ḳhushī
ye hai shab-e-visāl kahā maan jā.iye
kyā thā jo muskurāte hue kah ga.e abhī
ḳhaak aa ke mere dar kī zarā chhān jā.iye
mehmāñ-navāz un sā koī dūsrā nahīñ
jī meñ hai un ke ghar kabhī mehmān jā.iye
hai qasd aaj hazrat-e-dil un kī bazm kā
allāh aap kā hai nigahbān jā.iye
jā baiThiye tunuk ke zarā mujh se phir alag
be-kuchh kahe sune bhī burā maan jā.iye
bad-yumn mere haq meñ hai sub.h-e-shab-e-visāl
khole hue na baal pareshān jā.iye
kyā taab hai 'riyāz' tumhārī zabān kī
rañgīnī-e-kalām ke qurbān jā.iye