Riyaz Khairabadi

aap ke pahlu mein dushman so chuka

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
aap ke pahlū meñ dushman so chukā
jā.iye honā thā jo kuchh ho chukā
hañstī hai taqdīr hañs le un ke saath
dil mujhe maiñ apne dil ko ro chukā
haath rakkhā maiñ ne sote meñ kahāñ
bole vo jhuñjhlā ke ab maiñ so chakkā
hashr meñ aanā thā pahle se hameñ
ham kab aa.e jab tamāshā ho chukā
ḳhaar us dil ne mujhe kyā kyā diye
mere haq meñ ye bhī kāñTe ho chukā
ab jo ghaTtā hai ghaTe tūfān-e-ashk
apnī qismat kā likhā maiñ dho chukā
bik gayā ammāma ho kar rahn-e-mai
bojh utrā sar se jhagḌā to chukā
tauba kī isyāñ se ab pūchhegā kaun
jam.a kī thī jitnī daulat kho chukā
āftāb-e-hashr kab chamkā 'riyāz'
dāġh-e-mai dāman se jab maiñ dho chukā
Top Urdushayar.com