Riyaz Khairabadi

jo un se kaho wo yaqin jaante hain

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jo un se kaho vo yaqīñ jānte haiñ
vo aise haiñ kuchh bhī nahīñ jānte haiñ
baḌe jannatī haiñ ye mai-ḳhvār zāhid
mai-e-talḳh ko añgbīñ jānte haiñ
javānī ḳhud aatī hai sau husn le kar
javāñ koī ho ham hasīñ jānte haiñ
shab-e-māh bantī hai har shab mire ghar
ye sab bāda-vash mah-jabīñ jānte haiñ
banāvaT bhī ik fan hai jo jāntā ho
tirī sādgī kuchh hamīñ jānte haiñ
nigāheñ na āñkhoñ ke ghuñghaT se nikleñ
adā.eñ ġhazab sharmgīñ jānte haiñ
tirī kam-nigāhī se ubhre haiñ fitne
tujhe ġhair chīñ-bar-jabīñ jānte haiñ
mirī jaan par raat ban ban ga.ī hai
mirā haal kuchh ham-nashīñ jānte haiñ
jo vāqif nahīñ lutf-e-tajdīd se kuchh
vo tauba kī lazzat nahīñ jānte haiñ
vo sharmīlī āñkheñ vo sharmīlī bāteñ
vo hañsnā bhī khul kar nahīñ jānte haiñ
mirī but-parastī bhī hai haq-parastī
mirā martaba ahl-e-dīñ jānte haiñ
baḌe paak tīnat baḌe saaf bātin
'riyāz' aap ko kuchh hamīñ jānte haiñ
Top Urdushayar.com