Riyaz Khairabadi

hangam-e-naza girya yahan be-kasi ka tha

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
hañgām-e-naza.a girya yahāñ be-kasī kā thā
tum hañs paḌe ye kaun sā mauqa hañsī kā thā
uTThā na merī gor se dushman bhī baiTh kar
kyā aalam aaj haa.e mirī bekasī kā thā
chhāyā hai āsmāñ kī tarah qabr-e-ġhair par
dil meñ mire ġhubār bharā jo kabhī kā thā
dil ne mujhe ḳharāb kiyā kū-e-yār meñ
dushman par e'tibār mujhe dostī kā thā
sahrā meñ phir rahe the sulaimāñ bane hue
jis ko junūn kahte haiñ saaya parī kā thā
dikh jā.egā dil is liye jaarī hue na ashk
dekho to paas naza.a meñ kitnā kisī kā thā
ye apnī vaz.a aur ye dushnām se farosh
sun kar jo pī ga.e ye mazā muflisī kā thā
jis anjuman meñ baiTh gayā raunaq aa ga.ī
kuchh aadmī 'riyāz' ajab dil-lagī kā thā
Top Urdushayar.com