ḳhvāb meñ bhī nazar aa jaa.e jo ghar kī sūrat
phaaḌ khā.eñ tire darbāñ sag-e-dar kī sūrat
aisī bigḌe na ilāhī kisī ghar kī sūrat
vahī dīvār kī sūrat hai jo dar kī sūrat
par-shikasta huuñ tah-e-shāḳh paḌā rahne de
bāġhbāñ tū mujhe TuuTe hue par kī sūrat
chhūTtā hī nahīñ ab arsh-e-ḳhudā bām-e-butāñ
dekh lī hai kahīñ nāloñ ne asar kī sūrat
ghere rahtā hai bagūlā mujhe ab ek na ek
kī hai paidā mire sahrā ne bhī ghar kī sūrat
jaan jaa.e ki rahe aap ke aate aate
aur se aur hai ab dard-e-jigar kī sūrat
paanī ho jaate haiñ aañsū mire motī ban kar
varna achchhī to na thī un se guhar kī sūrat
kūcha-e-zulf meñ jaate hue dil Dartā hai
har qadam par hai na.ī ḳhauf-o-ḳhatar kī sūrat
kabhī phūlā na phulā naḳhl-e-tamannā afsos
phuul kī shakl na dekhī na samar kī sūrat
ġhair kī qabr hai gulshan hai na dāman un kā
mujh se dekhī nahīñ jaatī gul-e-tar kī sūrat
chāragar aate haiñ to aañkh churā jaate haiñ
aisī bigḌī hai mire zaḳhm-e-jigar kī sūrat
āshiyāne ko chale baaġh meñ muddat guzrī
phirtī hai aañkh meñ kyuuñ barq-o-sharar kī sūrat
ghar se be-fikr maiñ sahrā meñ phirā kartā huuñ
merī āñkhoñ meñ phirā kartī hai ghar kī sūrat
qais bhaTkā thā ki sahrā meñ 'riyāz' aa.e nazar
rahnumā us ke bane aap ḳhizar kī sūrat