le gayā ghar se unheñ ġhair ke ghar kā ta.avīz
ham ne dekhā na sunā aise asar kā ta.avīz
de ke bū zulf kī rakh lo tah-mahram dil ko
ḳhvāb meñ phir na Daroge ye hai Dar kā ta.avīz
sadqe tere mujhe taskīn se taskīn huī
ḳhat tirā thā ki mire dard-e-jigar kā ta.avīz
ho mubārak tujhe āñkhoñ meñ samānā din-rāt
zeb-e-bāzū rahe har-vaqt nazar kā ta.avīz
rah gayā ġhair ke ghar jā.iye bhī lā.iye bhī
aap ke sar kī qasam aap ke sar kā ta.avīz
bāñdh le bahr-e-ḳhudā apne bhare baazū par
nazar-e-bad se bachā.egā nazar kā ta.avīz
ghar ga.e apne batā kar vo hameñ rāh-e-adam
vasl kī shab kī nishānī hai kamar kā ta.avīz
haath bhī aa.eñ to hai haath lagānā mushkil
sar-e-bāzū hai bañdhā ḳhaas asar kā ta.avīz
Dar se un ke bhare baazū ka.ī kāġhaz utre
haath thāmā thā shab-e-vasl ki sarkā ta.avīz
dil hai ab maañg ke āġhosh meñ din-rāt 'riyāz'
ye to sar chaḌh ke banā yaar ke sar kā ta.avīz