Riyaz Khairabadi

rang par kal tha abhi lala-e-gulshan kaisa

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
rañg par kal thā abhī lāla-e-gulshan kaisā
be-charāġh aaj hai har ek nasheman kaisā
dil-e-pur-dāġh jo hotā hai lahad meñ betāb
jhilmilātā hai charāġh-e-sar-e-madfan kaisā
maiñ kahīñ kā na rahā bād-e-ḳhizāñ ke chalte
uḌ gayā mere muqaddar se nasheman kaisā
ab ḳhudā jaane bahār aatī hai us meñ ki nahīñ
mere dam se kabhī ābād thā gulshan kaisā
chhup ke rātoñ ko kahīñ aap na aa.e na ga.e
be-sabab naam huā aap kā raushan kaisā
maal hāthoñ ne liyā hoñThoñ ne afshāñ chun lī
aa ke qaabū meñ luTā aap kā joban kaisā
ham ne dekhe haiñ maqāmāt-e-tajallī un ke
tuur kahte haiñ kise vādī-e-aiman kaisā
hai abhī mere buḌhāpe meñ javānī kaisī
hai abhī un kī javānī meñ laḌakpan kaisā
zab.h ke vaqt bahut saaf rahā thā ye to
de uThā ḳhuun dam-e-hashr ye dāman kaisā
merī saj-dhaj to koī ishq-e-butāñ meñ dekhe
saath qashqe ke hai zunnār-e-barahman kaisā
aa.e haiñ daaġh nayā dene vo mujh ko pas-e-marg
aaj phailā hai ujālā sar-e-madfan kaisā
misī-mālīda lab-e-yār kī sun kar tārīf
muñh phulā.e hue hai ġhuncha-e-sausan kaisā
bāġhbāñ kaam hameñ kyā hai vo ujḌe ki rahe
jab hameñ baaġh se nikle to nasheman kaisā
pārsā ban ke 'riyāz' aa.e haiñ maiḳhāne meñ
aap baiThe haiñ bachā.e hue dāman kaisā
Top Urdushayar.com