kahne bhī kuchh na paa.e the āh-e-rasā se ham
sunñā paḌā ki aaj laḌeñge havā se ham
zid aap ko asar se asar ko duā se laag
farmā.iye to haath uThā leñ duā se ham
pīseñ kise ye kahte haiñ fitne dam-e-ḳhirām
itnī baḌe huzūr qayāmat zarā se ham
mahshar meñ paa.ī jām-ba-kaf-hūr zāhido
achchhe rahe yahāñ bhī tumhārī duā se ham
sote meñ kaam aa.ī na kuchh chashm-e-nīm-bāz
khul khele aaj yaar ke band-e-qabā se ham
ham jānte haiñ ḳhuub adāoñ kī shoḳhiyāñ
ham haiñ adā-shanās Dareñ kyā qazā se ham
uTh jaa.e bār-e-sharm to sau fitne ham uThā.eñ
kahtī hai vo nigāh dabe haiñ hayā se ham
hūroñ ke badle hoñ but-e-kāfir hameñ nasīb
tum ko agar satā.eñ to paa.eñ ḳhudā se ham
karte na ham vafā to na baḌhte jafā-o-jaur
sharminda vo jafā se to apnī duā se ham
mumkin hai jā ke arsa-e-mahshar meñ sar uThā.eñ
terī galī meñ dab ke rahe naqsh-e-pā se ham
un ke liye maze kī sazā hai yahī 'riyāz'
mahshar meñ maañg leñge butoñ ko ḳhudā se ham