Riyaz Khairabadi

us husn ka shaida hun us husn ka diwana

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

us husn shaidā huuñ us husn dīvāna

har gul hai jahāñ bulbul har sham.a hai parvāna

patthar paḌeñ donoñ par ka.aba ho ki but-ḳhāna

donoñ se kahīñ achchhā dīvāne parvāna

kahtā hai anā lailā kaisā hai ye dīvāna

nibhne nahīñ do din ab qais se yārāna

ka.aba ho kalīsā ho dil ho ki sanam-ḳhāna

jalva ho jahāñ terā ābād vo kāshāna

chhoTā mirā dil hai TuuTā mirā dil hai

sūrat meñ to paimāna vus.at meñ hai mai-ḳhāna

dil se hai lagī ye lo ik zarra barābar zau

paḌ jaa.e tirā partav ai jalva-e-jānāna

begāna yagāna hai dil ā.ina-ḳhāna hai

ka.abe ye ka.aba hai but-ḳhāne but-ḳhāna

hai josh-e-junūñ parda ai ishq-e-ḳhirad-āgah

farzāna hai dīvāna dīvāna hai farzāna

farhād bhī majnūñ bhī lete haiñ qadam mere

aisā bhī na ho koī is ishq meñ dīvāna

yaad aa.ī bahut ham ko TuuTī huī tauba bhī

dekhā jo kahīñ ham ne TuuTā huā paimāna

shīshe parī tujh meñ kyā husn aalam hai

saaqī na ho phir bhī to ye ghar hai parī-ḳhāna

de koī saḳhī-dātā mai-ḳhāna baḌā ghar hai

aatā hai sadā detā shab ko koī mastāna

bahke hue logoñ meñ sab se haiñ 'riyāz' achchhe

raftār hai mastāna guftār hai rindāna

Top Urdushayar.com