Riyaz Khairabadi

wada tha jis ka hashr mein wo baat bhi to ho

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

va.ada thā jis hashr meñ vo baat bhī to ho

ye sun ke kis adā se kahā raat bhī to ho

ham leñ balā.eñ zulf vo raat bhī to ho

aa.e maze rut kahīñ barsāt bhī to ho

guzre yūñhī to tauba ke din ab sivā piyūñ

saaqī zarā talāfī-e-māfāt bhī to ho

iz.hār-e-ārzū koī aisī ḳhatā na thī

kyuuñ tevriyāñ chaḌhī haiñ koī baat bhī to ho

pā-posh un hasīnoñ aatī hai mere ghar

un nazar meñ kuchh mirī auqāt bhī to ho

miinā tarah ke abhī sar jhukā.eñ ham

pīr-e-muġhāñ qibla-e-hājāt bhī to ho

ham mai-kade ko chhoḌ ke ka.abe ke ho raheñ

ka.abe meñ is tarah mudārāt bhī to ho

bai.at ko sū-e-shaiḳh baḌheñge hazār haath

hazrat se kuchh zuhūr-e-karāmāt bhī to ho

kahne ko uTh rahegī sitamgar se koī baat

mahshar ke roz mujh se mulāqāt bhī to ho

bint-e-inab bichhā.egī dāman pa-e-namāz

zāhid murīd-e-pīr-e-ḳharābāt bhī to ho

tum ko 'riyāz' jānte haiñ ḳhuub ye hasīñ

jitne ho nek utne bad-zāt bhī to ho

Top Urdushayar.com