Riyaz Khairabadi

jo the hath mehndi lagane ke qabil

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jo the haath mehñdī lagāne ke qābil
hue aaj ḳhanjar uThāne ke qābil
anādil bhī kaliyāñ bhī gul bhī sabā bhī
ye sohbat hai hañsne-hañsāne ke qābil
hinā ban ke maiñ chuum luuñ dast-e-nāzuk
tire haath haiñ rañg laane ke qābil
javānī kā ab rañg kuchh aa chalā hai
vo ab ho chale haiñ satāne ke qābil
mujhe dekh kar duḳht-e-raz tan rahī hai
ye khiñch kar huī hai uḌāne ke qābil
qayāmat meñ dekheñge kyūñkar unheñ ham
nahīñ sharm se aañkh uThāne ke qābil
banā.eñ na ab us ko ab sham-e-mahfil
jalā dil nahīñ hai jalāne ke qābil
chaman meñ uḌā un ko ai bād-e-sarsar
mire TuuTe par haiñ uḌāne ke qābil
bane sho.ale bijlī ke qismat se merī
jo tinke the kuchh āshiyāne ke qābil
buḌhāpe meñ sābit hue duzd-e-mai ham
na aane ke qābil na jaane ke qābil
ye kahtī hai hazrat kī rīsh-e-hinā.ī
'riyāz' ab bhī haiñ rañg laane ke qābil
Top Urdushayar.com