dil-jaloñ se dil-lagī achchhī nahīñ
rone vāloñ se hañsī achchhī nahīñ
muñh banātā hai burā kyuuñ vaqt-e-va.az
aaj vaa.iz tū ne pī achchhī nahīñ
zulf-e-yār itnā na rakh dil se lagāo
dostī nādān kī achchhī nahīñ
but-kade se mai-kada achchhā mirā
be-ḳhudī achchhī ḳhudī achchhī nahīñ
muflisoñ kī zindagī kā zikr kyā
muflisī kī maut bhī achchhī nahīñ
is qadar kheñchtī hai kyuuñ ai zulf-e-yār
le ke dil itnī kajī achchhī nahīñ
aa.eñ merī bazm-e-mātam meñ vo kyā
haath meñ meñhdī rachī achchhī nahīñ
shaiḳh ko de do mai-e-be-rañg-o-bū
us kī qismat se khīñchī achchhī nahīñ
ik hasīñ ho dil ke bahlāne ko roz
roz kī ye dil-lagī achchhī nahīñ
zarra zarra āftāb-e-hashr hai
hashr achchhā vo galī achchhī nahīñ
ahl-e-mahshar se na uljho tum 'riyāz'
hashr meñ dīvāngī achchhī nahīñ