Riyaz Khairabadi

but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
but apne-āp ko kyā jaane kyā samajhte haiñ
mirā ḳhudā unheñ samjhe ḳhudā samajhte haiñ
adā-shanās kī apne adā samajhte haiñ
ki be-kahe vo mirā mudda.ā samajhte haiñ
samajhne vaale tumhārī adā samajhte haiñ
vo aur kuchh hai jise sab qazā samajhte haiñ
falak kā naam na le koī sāmne un ke
vo us ke zikr ko apnā gilā samajhte haiñ
mujhe ye aap ke sar kī qasam na thā ma.alūm
ki aap bhī rah-o-rasm-e-vafā samajhte haiñ
ye shoḳhiyāñ bhī hasīnoñ kī kyā qayāmat haiñ
shab-e-visāl ko roz-e-jazā samajhte haiñ
ye din shabāb ke haiñ koī kyā kahe un ko
abhī vo kuchh nahīñ achchhā burā samajhte haiñ
tumhāre kho.e huoñ kā ajiib maslak hai
jo rāhzan bhī mile rahnumā samajhte haiñ
shab-e-visāl mire ham-nashīñ se farmāyā
yahī to haiñ jo hameñ bevafā samajhte haiñ
ḳhudā kare kahīñ mauqe se mujh ko mil jaa.eñ
yahī hasīñ jo mujhe pārsā samajhte haiñ
hameñ ye haq hai tirā muñh bhī chūmte jaa.eñ
ki tere shikva-e-bejā bajā samajhte haiñ
na man.a kar mai-o-māshūq se hameñ vaa.iz
ki ham shabāb meñ sab kuchh ravā samajhte haiñ
ḳhudā kī shaan ye koThoñ ke baiThne vaale
hamārī aah ko ab nā-rasā samajhte haiñ
'riyāz' ishq meñ kāfir butoñ ke hai be-ḳhud
mazā ye hai vo use pārsā samajhte haiñ
Top Urdushayar.com