Riyaz Khairabadi

baam par aae kitni shan se aaj

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
baam par aa.e kitnī shaan se aaj
baḌh ga.e aap āsmān se aaj
jab kahā ham ḳhafā haiñ jaan se aaj
bole ḳhush kar deñ imtihān se aaj
kis maze kī havā meñ mastī hai
kahīñ barsī hai āsmān se aaj
be-takalluf na ho koī un se
bane baiThe haiñ mehmān se aaj
maiñ ne chheḌā to kis adā se kahā
kuchh sunoge mirī zabān se aaj
dil ke TukḌoñ kī tarah ham ne chune
TukḌe kuchh dil kī dāstān se aaj
nīchī dāḌhī ne aabrū rakh lī
qarz pī aa.e ik dukān se aaj
ūñche koThoñ ke baiThne vaale
bāteñ karte the āsmān se aaj
nā-tavāñ dil kī be-zabāñ dil kī
aap ne sun lī apne kaan se aaj
koī jā kar 'riyāz' ko samjhā.e
kuchh ḳhafā haiñ vo apnī jaan se aaj
Top Urdushayar.com