ye kāfir but jinheñ da.avā hai duniyā meñ ḳhudā.ī kā
mileñ mahshar meñ mujh aasī ko sadqa kibriyā.ī kā
ye mujh se saḳht-jāñ par shauq ḳhanjar-āzmā.ī kā
ḳhudā-hāfiz mire qātil tirī nāzuk kalā.ī kā
na ho pahlū meñ mere dil to koī baat kyuuñ pūchhe
yahī to ik zarīya hai hasīnoñ tak rasā.ī kā
tum achchhe ġhair achchhā ġhair kī taqdīr bhī achchhī
ye āḳhir zikr kyuuñ hai merī qismat kī burā.ī kā
vo kyā so.eñge ġhāfil ho ke shab bhar mare pahlū meñ
unheñ ye fikr hai nikle koī pahlū laḌā.ī kā
hazāroñ dīda-o-dil-e-bām lākhoñ tuur se baḌh kar
karoḌoñ jalva-gāheñ shauq to ho ḳhud-numā.ī kā
qafas meñ ab kahāñ vo imbisāt-e-sub.h-e-āzādī
chaman tak lutf thā sayyād merī ḳhush-navā.ī kā
ishāre par tire chal kar ye laa.e rañg mushkil hai
abhī mohtāj hai ḳhanjar tire dast-e-hinā.ī kā
koī kyā jaa.e jannat meñ ki us ne tuul khīñchā hai
qayāmat par bhī saaya paḌ gayā roz-e-judā.ī kā
vo din bhī aa.e ham hoñ aur galiyāñ hoñ madīne kī
gadāyāna sadā ho haath meñ kaasa gadā.ī kā
banā.ī kyā burī gat mai-kade meñ bāda-noshoñ ne
'riyāz' aa.e the kal jaama pahan kar pārsā.ī kā