Riyaz Khairabadi

main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
maiñ samjhā jab jhalaktā sāmne jām-e-sharāb aayā
mirā muñh chūmne shāyad mirā mast-e-shabāb aayā
tire nāzuk se chehre par jahāñ rañg-e-itāb aayā
sabāhat ruḳh kī bol uTThī ki ruḳh zer-e-naqāb aayā
qayāmat uThtī rahtī hai yahāñ ye hai galī us kī
kahāñ pāmāl hone tū dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
sar-e-turbat bhī ghoḌe par havā ke vo savār aa.e
qayāmat ham-ināñ aa.ī na dushman ham-rikāb aayā
hue hañgāma-hā-e-hashr kitne gosha-e-dil meñ
vo mere sāmne kuchh is adā se be-naqāb aayā
vo aa.e sair-e-dariyā ke liye to bujh ga.iiñ maujeñ
qadam se un ke apnī aañkh malne har habāb aayā
bahut bose liye haiñ maiñ ne un kāfir hasīnoñ ke
mazā aa.egā mujh ko bhī agar roz-e-hisāb aayā
takalluf bartaraf ai shaiḳh sohbat se ye aapas kī
mire aage sharāb aa.ī tire aage kabāb aayā
isī koshish meñ kaTtī hijr kī rāteñ huiiñ āḳhir
na un ke gesuoñ kā mere dil meñ pech-o-tāb aayā
ḳhayāl-e-yār ke sadqe ḳhayāl-e-yār hī hogā
tasallī mujh ko dene koī vaqt-e-iztirāb aayā
tirī nok qalam ne dil meñ gahre zaḳhm Daale haiñ
hazāroñ dashna-o-nashtar liye ḳhat kā javāb aayā
vo tasvīr aaj tak mahfūz hai chashm-e-tasavvur meñ
tire bachpan se jab aTkheliyāñ kartā shabāb aayā
nahīñ maujeñ haiñ ye sail-e-havādis ke tamāñche haiñ
use khānā paḌī muñh kī ubhar kar jab habāb aayā
barābar merī turbat ke kiyā hai dafn dushman ko
ye achchhā mere hisse meñ jahannum kā azaab aayā
kahīñ dāvat meñ kal ham aur vaa.iz paas baiThe the
koī le kar sharāb aayā koī le kar kabāb aayā
lahad par merī bhejā hai adū ko fātiha paḌhne
jo pahuñchāne savāb aayā vahī ban kar azaab aayā
jo aa.e bhī to ghoḌe par havā ke vo savār aa.e
adū bhī saath saa.e kī tarah thāme rikāb aayā
huā bint-e-inab se aqd is pīrāna-sālī meñ
mubārak ho mujhe saaqī buḌhāpe meñ shabāb aayā
nirāle haiñ yahī duniyā meñ tauba toḌne vaale
udhar saaqī 'riyāz' aa.e idhar jām-e-sharāb aayā
Top Urdushayar.com