Riyaz Khairabadi

hamein pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
hameñ pīne-pilāne kā mazā ab tak nahīñ aayā
ki bazm-e-mai meñ koī pārsā ab tak nahīñ aayā
sitam bhī lutf ho jaatā hai bhole-pan kī bātoñ se
tujhe ai jaan andāz-e-jafā ab tak nahīñ aayā
dam-e-āḳhir the bālīñ pe jo aane ko vo aa.e bhī
to hañs kar kah ga.e vaqt-e-duā ab tak nahīñ aayā
sahar hote bujhā.e kaun ai sham-e-lahad tujh ko
koī jhoñkā nasīm-e-sub.h kā ab tak nahīñ aayā
ḳhudā jaane huā kyā kūcha-e-jānāñ meñ dil jā kar
mirā bhūlā huā bhaTkā huā ab tak nahīñ aayā
gayā thā kah ke ye qāsid ki ulTe paañv aatā huuñ
kahāñ kambaḳht jā kar mar rahā ab tak nahīñ aayā
jise tum koste ho umr us kī aur baḌhtī hai
tumheñ sab kuchh to aayā kosnā ab tak nahīñ aayā
sitam karnā daġhā karnā ki va.ade kā vafā karnā
batāo kyā tumheñ aayā hai kyā ab tak nahīñ aayā
kisī ne koī dushman meñ chhupā Daalā miTā Daalā
galī to aa.ī un kā naqsh-e-pā ab tak nahīñ aayā
ye kyā insāf hai sayyād chhoḌe qaid se mujh ko
ki aisā koī murġh-e-ḳhush-navā ab tak nahīñ aayā
batā deñ aa gayā kyā tum ko is uThtī javānī meñ
batā deñ kaan meñ chupke se kyā ab tak nahīñ aayā
butān-e-nāznīñ jab dekhte haiñ mujh se kahte haiñ
tumhārī jaan par qahr-e-ḳhudā ab tak nahīñ aayā
kiyā hasrat se ruḳhsat sub.h ke tāroñ ko ye kah
ki jis kā shaam se thā aasrā ab tak nahīñ aayā
ye ġhaflat hai ki mahshar meñ bhī āñkheñ band haiñ merī
samajhtā huuñ yahī roz-e-jazā ab tak nahīñ aayā
na phūTī koī kopal tak mirī shāḳh-e-nasheman meñ
ḳhizāñ ke ba.ad mausam dūsrā ab tak nahīñ aayā
diyā ho to diyā ho kuchh payām-e-shauq āñkhoñ ne
mire lab par to harf-e-mudda.ā ab tak nahīñ aayā
is ubhre ubhre joban par yūñhī vo baiThe rah jaate
unheñ uThtī javānī kā mazā ab tak nahīñ aayā
vo din aa.e mire sarkār ahl-e-bazm se pūchheñ
kahāñ hai kyuuñ 'riyāz'-e-ḳhush-navā ab tak nahīñ aayā
Top Urdushayar.com