Riyaz Khairabadi

gulon ke parde mein shaklen hain mah-jabinon ki

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
guloñ ke parde meñ shakleñ haiñ mah-jabīnoñ kī
ye Dāliyāñ haiñ ki haiñ Doliyāñ hasīnoñ kī
ye āstīneñ nahīñ haiñ chunī huī zālim
balā.eñ lī haiñ nigāhoñ se āstīnoñ kī
kisī ke jalve sar-e-arsh chhup nahīñ sakte
ki duur rasan haiñ nigāheñ buland bīnoñ kī
pas-e-fanā bhī na ḳhālī raheñ ye qasr-e-rafī.a
na hoñ makīn to qabreñ raheñ makīnoñ kī
kis intihā kī nazākat hai mere sheroñ meñ
nazar lage na kahīñ un ko nukta-chīnoñ kī
jo niiñd aa.e to yuuñ aa.e maut aa.e to yuuñ
hamāre sāmne shakleñ hoñ mah-jabīnoñ kī
ham apne mulk-e-suḳhan ko vasī.a karte haiñ
hameñ talāsh hai har-dam na.ī zamīnoñ kī
unheñ ġharaz mirī bāteñ khaḌe khaḌe sun leñ
suneñge baiTh ke vo apne ham-nashīnoñ kī
kahāñ vo chāñdnī rāteñ vo chāñd ke TukḌe
na ab vo ham haiñ na shakleñ haiñ mah-jabīnoñ kī
utarte haiñ na.e mazmūñ jo āsmāñ se 'riyāz'
talāsh rahtī hai ham ko na.ī zamīnoñ kī
Top Urdushayar.com