Riyaz Khairabadi

hans ke paimana diya zalim ne tarsane ke baad

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
hans ke paimāna diyā zālim ne tarsāne ke ba.ad
aaj nāzuk se lab-e-sāqī haiñ paimāne ke ba.ad
ḳhum-kadoñ meñ kuchh na hogā ek paimāne ke ba.ad
rah nahīñ saktī kabhī mai-lab tak aa jaane ke ba.ad
maiñ huuñ saaqī hai shab-e-ḳhalvat hai daur-e-jām hai
bose par bosa hai paimāna hai paimāne ke ba.ad
vaqt hai aisā thā ruḳhsat ho ga.ī un kī hayā
baat hī aisī thī khul khele vo sharmāne ke ba.ad
chheḌte haiñ pā ke mauqa un ke utre haar bhī
bante haiñ kyuuñ dil hamārā phuul murjhāne ke ba.ad
husn ho yā ishq hotī hai burī dil kī lagī
jal-bujhī ro ro ke āḳhir sham.a parvāne ke ba.ad
kah ke maiñ dil kī kahānī kis qadar khoyā gayā
haiñ fasānoñ par fasāne mere afsāne ke ba.ad
be-ḳhudī gum-gashtagī sukr-o-tahayyur mahviyat
kuchh maqāmāt aur bhī paḌte haiñ maiḳhāne ke ba.ad
duur tak shohrat hai us kī tuur kahte haiñ jise
be-charāġh ik jalva-gah hai mere vīrāne ke ba.ad
koī hiire kī kanī se kam na thā hañgām-e-zabt
kuchh hameñ piinā paḌe aañsū bhī ġham khāne ke ba.ad
ishq kī tārīḳh dohrā.ī zamāne ne zarūr
naam paayā qais ne bhī tere dīvāne ke ba.ad
shor hai rahnā qayāmat se bahut hī hoshiyār
un ke kūche se uThī hai Thokareñ khāne ke ba.ad
tab.a ho bhī to kahīñ dīvān merā ai 'riyāz'
dekhne kī chiiz hogā ye sanam-ḳhāne ke ba.ad
Top Urdushayar.com