Riyaz Khairabadi

zarur panw mein apne hina wo mal ke chale

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
zarūr paañv meñ apne hinā vo mal ke chale
na pahuñche aaj bhī ghar tak mire vo kal ke chale
ye dostī hai ki hai saath aag paanī kā
jo niklī aah to saath ashk bhī nikal ke chale
lahad se laa.ī qayāmat hai paañv paḌ paḌ kar
Thahar Thahar ke chale ham machal machal ke chale
hazāroñ Thokareñ har ik qadam par us meñ haiñ
ye rāh-e-ishq hai kyuuñ kar koī sambhal ke chale
ye mujh ko vasl kī shab haa.e maut kyuuñ aa.ī
hinā lagā ke jo aa.e the haath mal ke chale
tumhārī raah meñ chalne kī hai ḳhushī aisī
ki saath naqsh-e-qadam bhī uchhal uchhal ke chale
mazā to aa.e jo leñ riñd baḌh ke hāthoñ-hāth
mazā to aa.e kahīñ se jo mai ubal ke chale
adā se naaz se chalnā qayāmat un kā thā
jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale
chale vo sham.a jalāne mazār par kis ke
ki saath saath adū aag ho ke jal ke chale
tumhāre gesu-e-pur-pech ne liyā ham ko
ki muñh meñ saañp ke yā muñh meñ ham ajal ke chale
uThā janāza to bolī ye ḳhāna-bardārī
nayā makān hai kapḌe na.e badal ke chale
hazāroñ daaġh haiñ dil meñ jigar meñ lākhoñ zaḳhm
'riyāz' mahfil-e-ḳhūbāñ se phūl-phal ke chale
Top Urdushayar.com