Riyaz Khairabadi

mere lab par kabhi tu ban ke dua bhi aai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mere lab par kabhī tū ban ke duā bhī aa.ī
tujhe ai aah mirī baat banā bhī aa.ī
un se kuchh ye shafaq-e-shām lagā bhī aa.ī
ki shab-e-va.ada jo aa.ī to hinā bhī aa.ī
itne din aa.e hue mujh ko qafas meñ guzre
jhāñkne ko kabhī gulshan se havā bhī aa.ī
tū hamesha rahī qātil ke kamar meñ ai teġh
tere sadqe tujhe qātil kī adā bhī aa.ī
dard-e-furqat kī aziyyat kā na pūchho kuchh haal
aaj ghabrā ke ka.ī baar qazā bhī aa.ī
bhūltā hī nahīñ kahnā ye kisī kāfir kā
tujhe bhūle se kabhī yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
uTh rahī thiiñ usī din ke liye nīchī nazreñ
chuTkiyāñ qabr meñ lene ko hayā bhī aa.ī
hashr ke din bhī rahī baat vahī aañkh vahī
jhūTe va.adoñ se tujhe sharm zarā bhī aa.ī
sham.a ke vāste thī jumbish-e-dāman kaafī
un ke dāman se lagī bād-e-sabā bhī aa.ī
aa gayā shukr-e-zabāñ par jo kiyā ḳhum ḳhālī
peT apnā jo bharā yād-e-ḳhudā bhī aa.ī
aa.e maiḳhāne meñ jab masjid-e-jāme se 'riyāz'
saath hī aap ke qible se ghaTā bhī aa.ī
Top Urdushayar.com