Riyaz Khairabadi

makan milte hain kya la-makan nahin milta

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
makān milte haiñ kyā lā-makāñ nahīñ miltā
nishān laakh haiñ lekin nishāñ nahīñ miltā
kahīñ bhī jaa.eñ kahāñ āsmāñ nahīñ miltā
lahad hī ek jagah hai jahāñ nahīñ miltā
huī hai raushan usī se hamārī peshānī
jabīn-e-arsh ko jo āstāñ nahīñ miltā
sunī hai maiñ ne bhī rañgīñ-navā.ī-e-nāqūs
gale se mere ye vaqt-e-azāñ nahīñ miltā
ye chāhtā huuñ ki be-muñh ke ābloñ se nibhe
kahīñ bhī ḳhaar koī be-zabāñ nahīñ miltā
bahār aate hī phūloñ ne chhāvnī chhā.ī
ki DhūñDhtā huuñ mujhe āshiyāñ nahīñ miltā
ye kah rahā hai tarannum havā kī maujoñ kā
ḳhamosh phūloñ kā husn-e-bayāñ nahīñ miltā
ye shab guzār-e-haram hai zarūr ai saaqī
kisī se raat ko pīr-e-muġhāñ nahīñ miltā
chale na kaam bhare ḳhum agar na saath chaleñ
haram kī raah meñ kosoñ kuaañ nahīñ miltā
shafaq khulī na sar-e-qabr pā-e-rañgīñ se
zamīñ se jhuk ke kabhī āsmāñ nahīñ miltā
ḳhudā ke vāste pahuñchā de koī manzil tak
bichhaḌ gayā huuñ mujhe kārvāñ nahīñ miltā
zabān-e-hāl meñ in kī ajab latāfat hai
kisī se phūloñ kā husn-e-bayāñ nahīñ miltā
chale na haath gale par to ḳhud hī chal jaa.e
unheñ gilā hai ki ḳhanjar ravāñ nahīñ miltā
'riyāz' chhāñT liyā us ne mujh se būḌhe ko
koī bhī duḳhtar-e-raz ko javāñ nahīñ miltā
Top Urdushayar.com