Riyaz Khairabadi

mushkil us kuche se uThna ho gaya

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mushkil us kūche se uThnā ho gayā
hashr bhī naqsh-e-kaf-e-pā ho gayā
dekh vaa.iz mujh ko maiñ kyā ho gayā
aadmī thā pī farishta ho gayā
aur hī vaadī vo hai ai ahl-e-tūr
qais jis meñ jā ke lailā ho gayā
shāḳh meñ jab tak ye hai añgūr hai
shaiḳh ne toḌā ki miinā ho gayā
tum ko samjhā huur tiira gor meñ
ai farishto mujh ko dhokā ho gayā
muñh jo ka.abe meñ khulā vaqt-e-azāñ
band nāqūs-e-kalīsā ho gayā
mai-kada vaa.iz se ab chhuTtā nahīñ
bād-e-paimā bāda-paimā ho gayā
ai buto allāh ko sauñpā tumheñ
but-kada suntā huuñ ka.aba ho gayā
baaġh tak jaate bhī haiñ aate bhī haiñ
ab qafas to ghar hamārā ho gayā
aa.egā pīne-pilāne kā mazā
pārsā ab bāda-paimā ho gayā
maut aa.ī aap kā muñh dekh kar
aap kā bīmār achchhā ho gayā
Duub jaa.eñ taare vo tūfāñ kahāñ
ashk to āñkhoñ kā taarā ho gayā
rañg badlā kyā zamāne ne 'riyāz'
dekhte hī dekhte kyā ho gayā
Top Urdushayar.com