hamāre dil meñ koī aarzū nahīñ baaqī
hamāre phuul meñ ab rañg-o-bū nahīñ baaqī
bahut kahī dil-e-nādāñ adū nahīñ baaqī
mirā adū mire pahlū meñ tū nahīñ baaqī
tumhāre tiir kī ab aarzū nahīñ baaqī
huā hai piip kaleja lahū nahīñ baaqī
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharāb
koī bhī zarf barā-e-vuzū nahīñ baaqī
dharā hai kyā mire ghar meñ ki mohtasib legā
pur-az-sharāb vo jām-o-subū nahīñ baaqī
vo rah ke ġhair kī sohbat meñ ho ga.e kuchh aur
vo baat pichhlī sī aglī sī ḳhū nahīñ baaqī
thakā paḌā huuñ to vāmāñdgī ye kahtī hai
unheñ kisī kī bhī ab justujū nahīñ baaqī
jo mai kī buuñd na niklī to paḌ gayā paanī
ba-hāl-e-ḳhvesh subū ab subū nahīñ baaqī
hamārī aap kī baat uTh rahī hai mahshar par
hamārī aap kī kuchh guftugū nahīñ baaqī
jo nikle ḳhaar to dāman se sūiyāñ uljhīñ
jagah zarā sī kahīñ be-rafū nahīñ baaqī
baḌhī hai baat qayāmat meñ jhūTe va.ade par
vo munfa.il hai to kuchh guftugū nahīñ baaqī
ye mohtasib hai abas ghar ko sūñghtā phirtā
ki būñd-bar bhī mai-e-mushk-bū nahīñ baaqī
huā hai aa.ine ke saath aks ko saktā
kisī meñ jaan tire rū-ba-rū nahīñ baaqī
baheñ sharāb ke dariyā to ham ko lutf nahīñ
ki sabza kuchh bhī lab-e-ābjū nahīñ baaqī
baḌhī hai pāk-nihādī ye bāda-noshoñ kī
ki ab namāz meñ qaid-e-vuzū nahīñ baaqī
hamārī aañkh meñ tārīk bazm-e-ālam hai
jo zeb-e-bazm the vo sham.a-rū nahīñ baaqī
'riyāz' maut ko kyuuñ maut aa.ī jaatī hai
hameñ to maut kī bhī aarzū nahīñ baaqī