Riyaz Khairabadi

parda kis amr ka hai ab is bad-nasib se

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
parda kis amr kā hai ab is bad-nasīb se
kahiye to baat raat kī kah duuñ raqīb se
dekhe jo dil ke daaġh to bole raqīb se
milte haiñ aise chāñd ke TukḌe nasīb se
chohleñ haiñ mujh ġharīb se chheḌeñ raqīb se
paḌtā hai kaam dekhiye kis ḳhush-nasīb se
is martaba junūñ meñ yahī mashġhala rahā
de de ke phuul daaġh liye andalīb se
tum ho kalīm dekhne vāloñ meñ duur ke
luuTe haiñ ham ne yaar ke jalve qarīb se
achchhe haiñ ik jahān se us ke marīz-e-ishq
un ko davā se kaam na matlab tabīb se
kam-baḳht kī zabān se niklī hai koī baat
kaliyāñ haiñ muñh phulā.e hue andalīb se
vaa.iz tirī bahisht kā ham jānte haiñ haal
dilchaspiyāñ baḌhā na bayān-e-ajīb se
jo bad-mizāj de na tasallī marīz ko
achchhā hai ishtidād-e-maraz us tabīb se
kāñToñ ke badle phuul chune kis ne ai junūñ
sun aa.e haiñ chaman meñ vo kuchh andalīb se
kāfir tire sivā jo kisī kī ho aarzū
ham duur hoñ ḳhudā se ḳhudā ke habīb se
is zo.af meñ ye haal hai miltī nahīñ use
chaltī hai chaal nabz hamārī tabīb se
allāh re ḳhulūs ki manzil abhī hai duur
ġhurbat kī shaam aa ke milī mujh ġharīb se
detī hai ye zarūr jo ḳhud baiThtī hai vo
jhuktī hai shāḳh-e-gul bhī zarā andalīb se
poshīda dil meñ hai kisī parda-nashīñ kā ishq
dard-e-nihāñ kā haal kahūñ kyā tabīb se
tujh meñ paḌī hai jaan hamārī paḌī bhī rah
ai aarzū na jā dil-e-hasrat-nasīb se
laa.ī kuchh un ke vāste kuchh apne vāste
gulbun se phuul daaġh liye andalīb se
sar bhī subū-e-sar bhī bachā aaj baal baal
zāhid ne baḌh ke kaam liyā thā jarīb se
din dopahar na aaj ho andher to sahī
guzrīñ zarā vo hashr meñ mere qarīb se
bal gesuoñ se baḌh ke jabīñ par paḌe hue
koī ye jaane aa.e haiñ laḌ kar raqīb se
duniyā kī koī baat nahīñ jānte 'riyāz'
ik shaḳhs haiñ 'riyāz' bahut hī ġharīb se
Top Urdushayar.com