Riyaz Khairabadi

ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekha

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
kū-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhā
ham ne naqsh-e-qadam-e-yār ko chalte dekhā
haa.e kyā haal dam-e-vasl hamārā hogā
bosa lene meñ tumheñ rañg badalte dekhā
abr ban kar jo baras paḌne ko aayā vaa.iz
be-tarah ham ne ḳhum-e-mai ko ubalte dekhā
ye bhī piinā hai koī chaal hai ye bhī koī
har-qadam par unheñ sau baar sambhalte dekhā
yahī āñkheñ haiñ ki jin meñ nahīñ ab naam ko ashk
inhīñ āñkhoñ se kabhī ḳhuun ubalte dekhā
hashr ke roz na taab abr-e-karam ko aa.ī
mujh gunahgār ko jab dhuup meñ jalte dekhā
gesū-e-hūr kaho sabza-e-turbat kaisā
qabr-e-dushman se dhuāñ ham ne nikalte dekhā
kūcha-e-ishq meñ allāh re pā-mardī-e-dil
Thokareñ khā ke use ham ne sambhalte dekhā
ġhair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the
rukte dekhā tumheñ phir chhup ke nikalte dekhā
dil meñ kyā jaan thī kyā qatra-e-ḳhūñ kī thī bisāt
malte dekhā use hāthoñ se masalte dekhā
phuul laale kā khilā thā ki shafaq shaam kī thī
vasl kī raat ko bhī rañg badalte dekhā
kabhī kuchh raat ga.e yā kabhī kuchh raat rahe
ham ne in parda-nashīnoñ ko nikalte dekhā
ḳhūn-e-dil par hai abas rashk tirī mehñdī ko
apnī hī aag meñ ham ne use jalte dekhā
dil-e-betāb thā yā aag kī chiñgārī thī
kis qadar jild unheñ pā-posh se malte dekhā
vaah kyā rañg hai kyā ḳhuub tabī.at hai 'riyāz'
ho zamīñ koī tumheñ phūlte-phalte dekhā
Top Urdushayar.com