Riyaz Khairabadi

koi puchhe na humse kya hua dil

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
koī pūchhe na ham se kyā huā dil
huā kyā luT gayā dil miT gayā dil
ye kah kar de diyā mujh ko mirā dil
hameñ kosegā degā bad-duā dil
marnā de jā.egī mujh ko tirī aañkh
mazā de jā.egā tujh ko mirā dil
chaman meñ jo khilā gul maiñ ye samjhā
ki hai merā ye murjhāyā huā dil
uThegā lutf sohbat kā abhī to
na.e tum ho na.e ham haiñ nayā dil
kisī se yuuñ daġhā karte nahīñ haiñ
are o be-muravvat bevafā dil
qayāmat hai tumhārī chulbulī shakl
qayāmat hai hamārā chulbulā dil
hamārā dil hamāre kaam kā hai
kahāñ paa.eñ tumhāre kaam kā dil
bahut hai jam ko apne jaam par naaz
zarā laanā mirā TuuTā huā dil
kisī kā zor phir chaltā nahīñ hai
kisī se jab kisī kā mil gayā dil
use kis muñh se kahte ho burā tum
tumheñ kis dil se detā hai duā dil
gayā vo daaġh le kar daaġh de kar
nishānī de gayā dil le gayā dil
hasīñ us ko burā samjhe bachī jaañ
burā ban kar bahut achchhā rahā dil
kaheñ kyā kis ne luuTā kis ko luuTā
luTe ham tum luTā joban luTā dil
vahī achchhā thā us chhātī kī sil se
badal detā kisī but se ḳhudā dil
tumhārī raah meñ vo bhī paḌā hai
zarā dekhe hue TuuTā huā dil
koī ab muft bhī ḳhvāhāñ nahīñ hai
'riyāz' aisā gayā guzrā huā dil
Top Urdushayar.com