Riyaz Khairabadi

wada kabhi sachcha koi karta hi nahin hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
va.ada kabhī sachchā koī kartā hī nahīñ hai
andesha-e-fardā to guzartā hī nahīñ hai
dāman kī shikan duur se letī hai balā.eñ
bal yaar ke abrū kā utartā hī nahīñ hai
dil se to mire siine ke phir daaġh hī achchhe
kam-baḳht ubhāre se ubhartā hī nahīñ hai
sab bhuul ga.e us ko tire ahd-e-sitam meñ
ab shikva-e-gardūñ koī kartā hī nahīñ hai
jo jānte haiñ baḌh ke nasheman se qafas ko
par aisoñ ke sayyād katartā hī nahīñ hai
kyā chiiz hai ai bāda-kasho mausam-e-gul bhī
is daur meñ tauba koī kartā hī nahīñ hai
apne sitam-o-jaur use laakh sikhāo
darbāñ se tumhāre koī Dartā hī nahīñ hai
yuuñ pisne ko dil laakh piseñ barg-e-hinā par
vo haath kabhī ḳhuun meñ bhartā hī nahīñ hai
kyā aa ga.ī us meñ dil-e-betāb kī uljhan
gesū hai kisī kā ki sañvartā hī nahīñ hai
samjhā hai asar koī balā aah ko merī
Dartā hai vo gardūñ se utartā hī nahīñ hai
jab tak koī aa.e na lab-e-bām nikhar kar
rañg-e-shafaq-e-shām nikhartā hī nahīñ hai
dīvāna 'riyāz' auroñ se kyā baat karegā
māshūqoñ se to baat vo kartā hī nahīñ hai
Top Urdushayar.com