Riyaz Khairabadi

hum bhi piyen tumhein bhi pilaen tamam raat

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ham bhī piyeñ tumheñ bhī pilā.eñ tamām raat
jāgeñ tamām raat jagā.eñ tamām raat
un kī jafā.eñ yaad dilā.eñ tamām raat
vo din bhī ho ki un ko satā.eñ tamām raat
zāhid jo apne roze se thoḌā savāb de
mai-kash use sharāb pilā.eñ tamām raat
ai qais be-qarār hai kuchh kohkan kī ruuh
aatī haiñ be-sutūñ se sadā.eñ tamām raat
tā sub.h mai-kade se rahī botaloñ kī maañg
barseñ kahāñ ye kaalī ghaTā.eñ tamām raat
ḳhalvat hai be-hijāb haiñ vo jal rahī hai sham.a
achchhā hai us ko aur jalā.eñ tamām raat
shab-bhar rahe kisī se ham-āġhoshiyoñ ke lutf
hotī raheñ qubūl duā.eñ tamām raat
daabe rahī paroñ se nasheman ko raat bhar
kyā kyā chalī haiñ tez havā.eñ tamām raat
kaaTā hai saañp ne hameñ sone bhī do 'riyāz'
un gesuoñ kī lī haiñ balā.eñ tamām raat
Top Urdushayar.com