Riyaz Khairabadi

aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
aatī thī pahle dil se kabhī bū kabāb kī
raushan hai ab to siine meñ bhaTTī sharāb kī
itnā itaab surḳh hai rañgat naqāb kī
tār-e-naqāb haiñ ki nigāheñ itaab kī
dekhe koī jhalak na ruḳh-e-lā-javāb kī
sattar hazār pardoñ meñ Thahrī hijāb kī
kyuuñ hashr meñ ho fikr azāb-o-savāb kī
sohbat hai ye bhī ek sharāb-o-kabāb kī
kahte haiñ va.ada raat ko hogā vafā zarūr
allāh jald shaam ho roz-e-hisāb kī
bijlī vo chiiz hī nahīñ jis se hasīñ Dareñ
kuchh dard kī chamak hai jhalak iztirāb kī
vo shām-o-sub.h sadqe ho jin par bahār-e-gul
chun chun ke saath laa.e haiñ rāteñ shabāb kī
jannat ke ḳhvāb dekh ke aatī haiñ ham ko yaad
rindāna sohbateñ vo kabāb-o-shabāb kī
ā.īna dekhte haiñ mujhe dekh dekh kar
ye daad mil rahī hai mire intiḳhāb kī
le apne sar vabāl na auroñ kā hashr meñ
bār-e-gunah uThā.e na mīzāñ hisāb kī
ai taur soz-e-barq samajhte haiñ ham tujhe
tujh meñ to shoḳhiyāñ haiñ kisī ke hijāb kī
da.ave hai hamsarī kā sar-e-kaj-kulāh se
ai dast-e-mauj utaar le Topī habāb kī
bijlī girā.eñ tuur par āvāz hī se vo
Thahre kabhī to ham se savāl-o-javāb kī
phir bhī to kuchh sabāt ko us ke zarar nahīñ
ulTī ravāñ hai bahr meñ kashtī habāb kī
mai se kahīñ sivā hai pas-e-tauba mai-kasho
aa jaa.e duur hī se kahīñ bū sharāb kī
so hashr nazr-e-gosha-e-dāmāñ haiñ har-nafas
ai shauq-e-dīd had hī nahīñ iztirāb kī
talḳhī kā naza.a kī to kuchh ehsās ho sake
itnī to mere muñh meñ ho talḳhī sharāb kī
tum kyā ho ham ne qulqul-e-mīnā se vā.izo
bāteñ bahut sunī haiñ azāb-o-savāb kī
daur-e-mai-e-kuhan kā asar hai ye ai 'riyāz'
hai aaj bhī javān tabī.at janāb kī
Top Urdushayar.com