Riyaz Khairabadi

aaina dekhte hi wo diwana ho gaya

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ā.īna dekhte hī vo dīvāna ho gayā
dekhā kise ki sham.a se parvāna ho gayā
gul kar ke sham.a so.e the ham nā-murād aaj
raushan kisī ke aane se kāshāna ho gayā
dīvāna qais pahle hameñ chheḌtā rahā
phir rafta rafta najd meñ yārāna ho gayā
kaafī na mohr-e-ḳhum ko hue lukkā-hā-e-abr
ab is qadar vasī.a ye ḳhum-ḳhāna ho gayā
hāsil ba-iḳhtisās hai us dil ko ye sharaf
ka.aba banā kabhī kabhī but-ḳhāna ho gayā
laa.e churā ke bahar-e-parastish butoñ ko ghar
vīrān chaar roz meñ but-ḳhāna ho gayā
muñh chuum luuñ ye kis ne kahā mujh ko dekh kar
dīvāna thā hī aur bhī dīvāna ho gayā
toḌī thī jis se tauba kisī ne hazār baar
afsos nazr-e-tauba vo paimāna ho gayā
mai tauba ban ke aa.ī thī lab tak ki ai 'riyāz'
labrez apnī umr kā paimāna ho gayā
Top Urdushayar.com