Riyaz Khairabadi

mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mere pahlū meñ hamesha rahī sūrat achchhī
maiñ bhī achchhā mirī qismat bhī nihāyat achchhī
aap kī shakl bhalī aap kī sūrat achchhī
aap ke taur bure aap se nafrat achchhī
hashr ke din hameñ sūjhī ye sharārat achchhī
le chale ḳhuld meñ ham dekh ke sūrat achchhī
tujh se kahtā thā koī yā tirī tasvīr se aaj
āñkheñ achchhī tirī āñkhoñ kī muravvat achchhī
ham ne sau baar shab-e-vasl milā kar dekhā
ai falak chāñd se vo chāñd se sūrat achchhī
na bane kaam to kis kaam kī nāzuk shakleñ
nāzuk achchhe na hasīnoñ kī nazākat achchhī
us se koī nahīñ achchhā jo tujhe pyaar kare
maiñ bhī achchhā tire sadqe mirī qismat achchhī
terī madfan se jo uTThe vo barī ai vaa.iz
un ke Thokar se jo uTThe vo qayāmat achchhī
jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardūñ se
aur un se tirī āñkhoñ kī nadāmat achchhī
muñh meñ jab baat rukī chuum liyā pyaar se muñh
dam-e-taqrīr kisī shoḳh kī luknat achchhī
dekhte hī kisī kāfir ko bigaḌ jaatī hai
maiñ jo chāhūñ bhī to rahtī nahīñ niyyat achchhī
husn-e-sūrat kī tarah husn-e-suḳhan hai kam-yāb
ek hotī hai hazāroñ meñ tabī.at achchhī
tujh se jaltā hai jo vo aur jalāte haiñ use
mire haq meñ mire dushman kī adāvat achchhī
aate jaate nazar aatī hai jhalak chilman se
parde parde meñ nikal aa.ī ye sūrat achchhī
ḳhūgar-e-ġham ke liye kuchh bhī nahīñ aish kā ḳhvāb
aisī rāhat se hamesha kī musībat achchhī
de ke vo bosa-e-lab shauq se leñ dil merā
uzr kyā hai jo mile maal kī qīmat achchhī
sun ke ash.ār mire sab yahī kahte haiñ 'riyāz'
is kī qismat hai burī aur tabī.at achchhī
Top Urdushayar.com