ham ġharīboñ par jafā achchhī nahīñ
bekasoñ kī bad-duā achchhī nahīñ
maut aa.e ye duā achchhī nahīñ
hijr meñ bhī maut kyā achchhī nahīñ
dil-lagī meñ bhī to bigḌī hai bahut
baat ye zulf-e-rasā achchhī nahīñ
haath rañgne kā lahū se ho gumāñ
shoḳh itnī bhī hinā achchhī nahīñ
kyuuñ uḌātī ḳhaak aatī hai bahār
chheḌ asīroñ se sabā achchhī nahīñ
kaam maiḳhāne kā ho jā.egā band
chashm-e-sāqī kī hayā achchhī nahīñ
bosa-e-lab se nahīñ chaltā hai kaam
gāliyoñ kī ye sazā achchhī nahīñ
shaiḳh ye kahtā gayā piitā gayā
hai bahut hī bad-maza achchhī nahīñ
dil vo sab ke leñ ye hai achchhī adā
jaan lene kī adā achchhī nahīñ
ġham ġhalat karne ko maiñ kitnī piyūñ
rāt-din ġham kī ghaTā achchhī nahīñ
ek kāfir mujh se ye kahtā gayā
rāt-din yād-e-ḳhudā achchhī nahīñ
mai-kade ko chhoḌ ka.abe jā 'riyāz'
ġhaflat ai mard-e-ḳhudā achchhī nahīñ