Riyaz Khairabadi

uf re ubhaar uf re zamana uThan ka

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
uf re ubhār uf re zamāna uThān kā
kal baam par the aaj hai qasd āsmān kā
ronā likhā nasīb meñ hai apnī jaan kā
shikvā na aap kā na gilā āsmān kā
bāzār meñ bhī chalte haiñ koThoñ ko dekhte
saudā ḳharīdte haiñ to ūñchī dukān kā
ye bhī ḳhudā kī shaan ham ab aise ho ga.e
saayā bhī bhāgtā hai tumhāre makān kā
kyuuñ ġham-nasīb dil ko burā kah rahe ho tum
kyuuñ sabr le rahe ho kisī be-zabān kā
vaa.iz sharāb-ḳhāne meñ kholegā kyā zabāñ
ham ḳhuub jānte haiñ vo Tarrā hai thaan kā
ham jām-e-mai ke bhī lab-e-tar chūste nahīñ
chaskā paḌā huā hai tumhārī zabān kā
maiñ dil kī vārdāt to kahne ko kah chalūñ
kis ko yaqīn aa.egā mere bayān kā
ye to kahā tujhe ho lahū thūknā nasīb
tum ne kabhī diyā koī TukḌā bhī paan kā
maiñ jā.ūñ yā na jā.ūñ unheñ le ke baam par
badlā huā hai rañg bahut āsmān kā
afsāna tum ne qais kā shāyad sunā nahīñ
TukḌā hai ek vo bhī mirī dāstān kā
ab koī siina chiir ke rakh le ki dil banā.e
āveza gir paḌā hai koī un ke kaan kā
aayā jo ġhair-lutf bahut der tak rahā
badlā thā maiñ ne bhes tire pāsbān kā
duniyā kī paḌ rahī haiñ nigāheñ 'riyāz' par
kis vaz.a kā javān hai kis ān-bān kā
Top Urdushayar.com