parā bāñdhe saf-e-mizhgāñ khaḌī hai
nigāh-e-shauq kyā maarī paḌī hai
maze luuTo kalīm ab ban paḌī hai
baḌī ūñchī jagah qismat laḌī hai
guloñ kī ḳhushnumā baddhī paḌī hai
tirā qad kyā hai phūloñ kī chhaḌī hai
nigāh-e-shauq bhī naT-khaT paḌī hai
kisī se tuur par jā kar laḌī hai
kaḌī hai choT ye be-shak kaḌī hai
adū hai aur phūloñ kī chhaḌī hai
adū ke vāste duniyā kā hai aish
musībat mere hisse meñ paḌī hai
havā se tez aate haiñ tire tiir
kamāñ kī tarah chuTkī bhī kaḌī hai
maze meñ rañg meñ tezī meñ saaqī
mai-e-tasnīm kyā phīkī paḌī hai
karāmat hai sar-e-nāseh kī ye bhī
ki achchhe haath kī achchhī paḌī hai
ye kis ne phuul Daale haiñ lahad par
judā har pañkhuḌī se pañkhuḌī hai
lab-e-jānāñ ne dī taskīñ dam-e-naza.a
hamārī jaan meñ jaañ ab paḌī hai
kahāñ bijlī meñ ye betābiyāñ thiiñ
dil-e-muztar kī parchhā.īñ paḌī hai
na dushman ke chubhā ḳhaar us galī meñ
hamāre vāste suulī khaḌī hai
jo lo karvaT to maiñ samjhūñ shab-e-hijr
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
tire qad ne use sīdhā banāyā
qayāmat hai ki sakte meñ khaḌī hai
qazā kā bhī paḌā hai mujh ko ronā
barābar mere vo bismil paḌī hai
ye kyā andher hai sub.h-e-shab-e-vasl
na surma hai na missī kī dhaḌī hai
paTak kar jām-e-mai ham kab rahe paak
ki uḌ kar chhīñT dāman par paḌī hai
Darāte haiñ ki us se Darte rahnā
baḌī kaljibbhī misī kī dhaḌī hai
huā bhārī maiñ aisā naḳhl-e-gul par
mire saa.e se Daalī phaT paḌī hai
kafan kā gosha-e-dāman to ulTo
ye hasrat muñh lapeTe kyuuñ paḌī hai
na muusī haiñ na hai barq-e-sar-e-tūr
na.e tum ho na.ī ham par paḌī hai
lagā detā koī miTTī Thikāne
'riyāz' ik aarzū murda paḌī hai