Riyaz Khairabadi

mar kar are waiz koi zinda nahin hota

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mar kar are vaa.iz koī zinda nahīñ hotā
vo hashr maze kā hai jo barpā nahīñ hotā
but toḌne se but-kada ka.aba nahīñ hotā
pahle kabhī hotā ho ab aisā nahīñ hotā
sab hashr meñ haiñ aaj hamīñ zer-e-lahad haiñ
kyā jāniye kyuuñ hashr hamārā nahīñ hotā
hotī hai jo shīshe meñ to hotī nahīñ kuchh fikr
thoḌī sī bhī ho to ġham-e-fardā nahīñ hotā
Thukrāte nahīñ pā-e-hinā.ī se vo sar ko
raushan kabhī qismat kā sitārā nahīñ hotā
sun lete haiñ chupke se mo.azzin kī ham ai shaiḳh
jab haath meñ nāqūs-e-kalīsā nahīñ hotā
aane ko to aatī haiñ junūñ-ḳhez bahāreñ
kyā jāniye ab kyuuñ hameñ saudā nahīñ hotā
maiḳhāne meñ kyuuñ yād-e-ḳhudā hotī hai aksar
masjid meñ to zikr-e-mai-o-mīnā nahīñ hotā
allāh dikhā.e na burā vaqt kisī ko
koī bhī zamāne meñ kisī kā nahīñ hotā
Thukrāte hue Darte ho kyuuñ merī lahad ko
Thokar se tumhārī koī zinda nahīñ hotā
aaqā se 'riyāz' aap to kahte nahīñ kuchh bhī
auroñ se gila kaam hamārā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com