Riyaz Khairabadi

unhin ke kaam ilahi mera lahu aae

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
unhīñ ke kaam ilāhī mirā lahū aa.e
rañgeñ jo haath lahū meñ hinā kī bū aa.e
marīz hosh meñ aa.e na aa.e tū aa.e
jo tū na aa.e tire gesuoñ kī bū aa.e
itāb-e-yār kā is ke sivā javāb na thā
ham aa.e to liye ā.īna rū-ba-rū aa.e
na pī zabān se merā bhī zikr kar denā
kalīm-e-tūr par un se jo guftugū aa.e
na jhuuT bol ki ham shaam se kal ā.eñge
na khā qasam are jhūTī kabhī jo tū aa.e
namāz hogī adā duḳht-e-raz ke dāman par
hamārī bazm meñ jo aa.e bā-vazū aa.e
talab kiye kabhī ham ne agar pas-e-tauba
bahut bhare hue ham se ḳhum-o-subū aa.e
utarne vaale abhī tak na baam se utre
taḌapne vaale taḌap kar falak ko chhū aa.e
garāñ dimāġh vo haiñ bū-e-gul kī tezī se
nasīm kah de zarā halkī ho ke bū aa.e
nisār vasl kī rāteñ us ek saa.at par
ham intizār meñ tere hoñ aur tū aa.e
ye jānte haiñ ki niklā huā hai naam us kā
hasīn hashr meñ kyuuñ mere rū-ba-rū aa.e
khule jo koī to khul kar kisī se bāteñ hoñ
uThe hijāb to kuchh lutf-e-guftugū aa.e
dilā.e yaad jo va.ade to bole jhuñjhlā kar
ye aur hashr meñ lene ko aabrū aa.e
kabhī kī pī huī kaam aa.e aaj hashr ke din
ḳhudā ke sāmne mai-nosh surḳh-rū aa.e
'riyāz' thī jo muqaddar meñ bāz-gasht-e-shabāb
javān hone ko piirī meñ lucknow aa.e
Top Urdushayar.com