Riyaz Khairabadi

bhaTka hua KHayal hai uqba kahen jise

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
bhaTkā huā ḳhayāl hai uqbā kaheñ jise
bhūlā huā sā ḳhvāb hai duniyā kaheñ jise
dekhe shab-e-firāq meñ koī to ham dikhā.eñ
dil kā vo daaġh chāñd kā TukḌā kaheñ jise
zālim kī aarzū ne jagah lī hai is tarah
dil meñ chhupā huā koī kāñTā kaheñ jise
in aarsī ke dekhne vāloñ ko kyā parakh
achchhā hai vo hasīn ham achchhā kaheñ jise
gulzār meñ vo phuul hai jis kā hai naam mai
zāhid vo sard baaġh hai miinā kaheñ jise
vāqif nahīñ vo roz-e-qayāmat ke tuul se
va.ada kiyā hai va.ada-e-fardā kaheñ jise
hāsil agar huī bhī to hāsil nahīñ hai kuchh
be-e'tibār chiiz hai duniyā kaheñ jise
itnī to ho bayān meñ vaa.iz shaguftagī
ham riñd sun ke qulqul-e-mīnā kaheñ jise
ahl-e-haram meñ jā ke binā aaj shaiḳh-e-vaqt
kāfir 'riyāz' pīr-e-kalīsā kaheñ jise
Top Urdushayar.com