Riyaz Khairabadi

aarzu bhi to kar nahin aati

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
aarzū bhī to kar nahīñ aatī
dil meñ hai hoñTh par nahīñ aatī
vasl kī raat ke sivā koī shaam
saath le kar sahar nahīñ aatī
chalī jaatī hai un ke ghar mirī niiñd
jā ke phir rāt-bhar nahīñ aatī
vo mujhe koste haiñ o tāsīr
arsh se tū utar nahīñ aatī
pahle aatī thī ai qafas vaalo
ab sabā bhī idhar nahīñ aatī
chup khaḌe haiñ vo pesh-e-dāvar-e-hashr
bhūle haiñ baat kar nahīñ aatī
kabhī aa jaatī thī muqaddar par
ab hañsī hoñTh par nahīñ aatī
are vaa.iz Darā na tū itnā
kyā use darguzar nahīñ aatī
jab tak aa.e na koī chāñd sī shakl
shab-e-mah mere ghar nahīñ aatī
hashr ke din bhī daaġh dāman meñ
sharm ai chashm-e-tar nahīñ aatī
kamar in kī bahut hī nāzuk hai
zulf bhī tā-kamar nahīñ aatī
ġham haiñ rāh-e-junūñ meñ ahl-e-junūñ
haiñ magar kuchh ḳhabar nahīñ aatī
aap ko apnī aarsī ke sivā
achchhī sūrat nazar nahīñ aatī
sharm aatī hai dil meñ sau sau baar
tauba lab par magar nahīñ aatī
vā-e-qismat ki bekasī bhī 'riyāz'
ab mirī qabr par nahīñ aatī
Top Urdushayar.com