Riyaz Khairabadi

dil DhunDhti hai nigah kisi ki

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
dil DhūñDhtī hai nigah kisī kī
ā.īne kī hai na aarsī kī
mālik mire maiñ ne mai-kashī kī
lekin ye ḳhatā kabhī kabhī kī
kyā shakl hai vasl meñ kisī kī
tasvīr haiñ apnī bebasī kī
khul jaa.e sabā kī pāk-bāzī
bū phūTe jo baaġh meñ kalī kī
kam-baḳht kabhī na ḳhush huā tū
ai ġham tirī har tarah ḳhushī kī
muñh ham ne hañsī hañsī meñ chūmā
jo ho ga.ī baat thī hañsī kī
taanā sā tanā hai mai-kade meñ
pagḌī uchhlī hai shaiḳh-jī kī
ham ko jo diyā to aur kā dil
dil le ke ye achchhī dil-lagī kī
yuuñ bhī to chalā na kaam apnā
dushman se bhī ham ne dostī kī
paa.e ga.e jis meñ dil ke ajzā
hogī vo ḳhaak usī galī kī
aisī hai ki pī sakegā vaa.iz
hai taaza kashīd aaj hī kī
mai ḳhuld meñ hogī sūrat-e-hūr
maiḳhāne meñ mushkil hai parī kī
ghar hai na kahīñ nishāñ lahad kā
miTTī hai ḳharāb be-kasī kī
sach ye hai ki zindagī ho yā maut
har chiiz burī hai muflisī kī
achchhī hai gark se talḳh mai se
miltī rahe roz rūkhī-phīkī
kuchh kuchh hai 'riyāz' 'mīr' kā rañg
kuchh shaan hai ham meñ 'mus.hafī' kī
Top Urdushayar.com